Tujhay Izhar-e-Muahabbat Sa Agar Nafrat Hai,
Tu Na Honton ko Laraznay Sa Tho Roka Hota.
BeNiazi Sa Magar Kampthi Awaz Ka Saath,
Tu Na Gabra Ka Mera Naam Na Pocha Hota.
Tere Bas Mein Thi Agar Mashal-e-Jazbat Ki Lo,
Tere Rukhsar Mein Gulzar Na Bharka Hota.
Yun Tho Muj Sa Hoyeen Sirf Aab-o-Hawa Ki Bateen,
Apnay Tootay Hoyeh Lafzoon Ko Tho Parka Hota.
YunHi Bewajha Tinaknay Ki Zaroorat Kya Thi,
Dam-e-Rukhsat Agar Yaad Na Aaya Hota.
Tera Ghammaz Bana Khud Tera Andaz-e-Kharam,
Dil Na Sambla Tha Tho Gadmoon Ko Sambala Hota.
Apnay Badlay Meri Tasveer Nazar Ajati,
Tu Na Us Waqt Agar Ayena Daika Hota.
“Hausla Tuj Ko Na Tha Muj Sa Jhuda Honay Ka,
Warna Kajal Teri Aankon Mein Na Paila Hota…”
Written by: Ahmed Nadeem Qasmi