Wo Tho Khushbu Hai, Hawaoon Mein Bikar Jayeh Ga,
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidar Jayeh Ga.
Hum Tho Samjhay Thay Ka Aik Zakhm Hai Bhar Jayeh Ga,
Kya Khabar Thi Keh Rag-e-Jan Mein Utar Jayeh Ga.
Wo Hawaoon Ki Tarha Khana Baja Pirtha Hai,
Aik Jhonka Hai Jo Ayeh Ga, Guzar Jayeh Ga.
Wo Jab Ayeh Ga Tho Pir Uski Rafaqat Ka Leyah,
Mosam-e-Gul Mere Angan Mein Tehar Jayeh Ga.
AKhrash Yeh Bhi Kaheen Rait Pa Baiti Hogi,
Tera Yeh Pyaar Bhi Darya Hai, Uttar Jayeh Ga.
Muj Ko Tehzeeb Ka Barzakh Ka Banaya Waris,
Jurm Yeh Bhi Mere Ajdad Ka Sar Jayeh Ga.
Written By: Parveen Shakir