Muj Sa Pehli Si Muhabbat Meri Mehboob Na Mang,
Mein Na Samjha Tha Keh Tu Hai tho Darkhshan Hai Hayat,
Tera Gham Hai Tho Gham-e-Dehr Ka Jagra Kya hai,
Teri Soorat Se Hai Aalm Mein Baharoon Ko Saabath,
Teri Ankoon Ka SIwa Dunya Mein Rakka Kya Hai?
Tu Jo Mil Jayeh Tho Taqdeer Nigoon Ho Jayeh,
Yun Na Tha Mein Na Faqat Chaha Tha yun Ho Jayeh,
Aur Bhi Dukh hein Zamanay Mein Muhabbat Ka Siwa,
Rahateen Aur Bhi Hain Wisl Ki Rahat Ka Sewa.
An Ginath Sadyoon Ka Tareek Bahemana Talism,
Resham-o-Athals-o-Kam Khawb Mein Bunwayeh Hoyeh,
Ja Baja Bikthay Hoyeh Kooch Wo Bazar Mein Jism,
Khak Mein Luthray Hoyeh Khun Mein Nehlayeh Hoyeh,
Loot Jathi Hai Udhar Ko Bhi Nazar Kya Kejyah,
Ab Bhi Dilkash Hai Tera Husn Magar Kya Kejyah,
Aur Bhi Dukh Hain Zamanay Mein Muhabbat Ka Siwa,
Rahateen Aur Bhi Hain Wisl Ki Rahat Ka Siwa,
Muj Sa Pehli Si Muhabbat Meri Mehboob Na Mang.
By: Ahmed Faraz
Phul, khushbu, sahaab hona to
Ae dua mustajaab honaa to
Main gahan tak tujhena lagne dun
Tum mera maahtaab honaa to
Manzilen intezaar men hongi
Hauslo!! ham rekaab honaa to
Waaqif e sard o garm bhi hona
Haami e inqelaab honaa to
Nuqs tujh me bhi sab nikalenge
Ek zara kaamyaab honaa to
Main use dekh kar hi jita hun
Ho gaya us ka khaab hona to
By : Ghalib Ayaz
Is this your poetry? Nice depth!
Yes Rameez Bhai, it is mine…. Thanks for appreciation!!